Anuv Jain Husn Romanized Lyrics

Haan, haan

Dekho, dekho, kaisi baatein yahaan ki
Hain saath par hain saath na bhi
Kya itni aasaan hain?
Dekho, dekho, jaise mere iraade
Vaise kahan tere yahaan the
Haan, kitni nadaan main

Mere husn ke ilaava kabhi dil bhi maang lo na
Haye, pal mein main pighal jaaun, haan
Ab aisa na karo ke dil jud na paaye vaapis
Teri baaton se bikhar jaaun, haan

Maana zamana hai deewana
Isiliye tune na jaana
Tere liye main kaafi hoon
Dekho, dekho, ye zamane se thak kar
Aate ho kyun masoom ban kar?
Tere liye main kya hi hoon? (Haan)

Phir aate kyun yahaan karne aankhon mein ho baarish?
Abh aaye to theher jao na
Aur puchho na zara mеre din ke baare mеin bhi
Bas itne mein sambhal jaaun, haan
You might also like
Anuv Jain – Husn (English Translation)
Genius English Translations
Anuv Jain – Alag Aasmaan (Romanized)
Genius Romanizations
Anuv Jain – Baarishein (Romanized)

Haan, ek din kabhi koi
Jab bhi padhe kahani teri
Lagta mujhe, mere naam ka
Zikr kahi bhi hoga nahi

Haan, main yahi
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho
Dekho, ye dil ka haal kya
Honthon se hota na bayaan
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho
Kaisa naseeb hai mera
Milke bhi na mujhe mila
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho
Teri adhoori si wafa
Maangu, main maangu aur na
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho

Dekho, dekho, kaisi kheenchi lakeeren
Chahe bhi dil to bhi na jeete
Main is daud mein nahi
Dekho, dekho, kaisi baatein yahaan ki
Baatein yahi dekhoon jahan bhi
Main is daur se nahi